Sunday 24 April 2016

Kahin Akele Me Milker By Rahat Indori















Kahin Akele Me Milker Jhinjod Dunga Usay
Jahan Jahan Se Wo Toota Hai Jod Dunga Usay.

Mujhe Wo Chod Gaya Ye Kamaal Hai Uska
Irada Maine Kiya Tha k Chod Dunga Usay.

Badan Chura K Chalta Hai Wo Mujse Sheesha E Badan
Usay Ye Darr Hai K My Tod Phod Dunga Usay.

Pasine Bant Ta Phirta Hai Her Taraf Suraj
Kabi Jo Hath Laga To Nichod Dunga Usay.

Maza Chaka K Hi Mana Hoon My Duniya Ko
Samajh Rahi Thi K Aise Hi Chod Dunga Usay

Friday 22 April 2016

Kaam Sab Gair Zaruri Hain Jo By Rahat Indori















Kaam Sab Gair Zaruri Hai Jo Sab Karte Hain
Aur Hum Kuch Nahi Karte Hain Gazab Karte Hain.

Apki Nazro Me Suraj Ki Hai Jitni Azmat
Hum Charagaun Ka Bhi Utna Hi Adab Karte Hain.

Hum Pe Hakim Ka Koi Hukum Nahi Chalta Hai
Hum Qalandar Hain Shahanshan Laqab Karte Hain.

Dekhiye Jis Ko Usay Dhun Hai Mashihai ki
Ajkal Shaher K Bimar Matab Karte Hain.

Khud Ko Patther Sa Bana Rakha Hai Kuch Logo Ne
Bol Sakte Hain Magar Bat Hi Kab Kar Sakte Hain

Aik Aik Pal Ko Kitabo Ki Tarha Padhne Lage
Umar Bhar Jo Na Kiya Hamne Vo Ab Karte Hain.

Thursday 21 April 2016

Jab Kabhi Phoolaun Ne By Rahat Indori















Jab Kabhi Phoolaun Ne Khushbu Ki Tijarat Ki Hai
Patti Patti Ne Hawaon Se Shikayat Ki Hai.

Yun Laga Jese Koi Itr Fiza Me Ghul Jaye
Jab Kisi Bacche Ne Quraan Ki Tilawat Ki Hai.

Janamazo Ki Tarha Noor Me ujalaye Saher
Rat Bhar Jese Farishton Ne Ibadat Ki Hai.

Sir Utahye Thay Bahut Surkh Hawa Me Fir Bhi
Humne Palko K Charago Ki Hifazat Ki Hai.

Mujhe Toofan E Havadis Se Darane Walo
Hadson Ne To Mere Hath Pe Baiyyat Ki Hai.

Aaj Aik Dana E Gandum K Bhi Haqdaar Nahi
Humne Sadiyaun Inhi Kheto Pe Hukumat Ki He.

Ye Zaruri Tha K Hum Dekhte Khilaun K Jalal
Umar Bhar Humne Mazaron Ki Ziyarat Ki Hai.

Wednesday 20 April 2016

Ja K Ye Keh De By Rahat Indori













Ja Ke Ye Keh de Koi Sholaun Se Chingari Se
Phool Iss Bar Khile Hain Badi Tayyari Se.

Apni Her Saans Ko Neelam Kiya Hai Myne
Log Aasan Hue Hain Badi Dushwari Se.

Zahen Me Jab Bhi Tere Khat KI Ibarat Chamki
Aik Khusbu Si Niklane Lagi Almari Se.

Shahzade Se Mulaqat To Namumkin Hai
Chaliye Mil Aate Hain Chal Kar Kisi Darbari Se.

Badshahaun Se Bhi Phenke Hue Sikke Na Liye
Hum Ne Khairat Bhi Mangi Hai To Khuddari Se.

Tuesday 19 April 2016

Ghar Se Ye Soch K Nikla By Rahat Indori













Ghar Se Ye Soch K Nikla Hoon K Mar Jana Hai
Ab Koi Rah Dikha De K Kider Jana Hai.

Jism Se Saath Nibhane Ki Mat Ummid Rakho
Is Musafir Ko To Raste Me Taher Jana Hai.

Maut Lamhe Ki sada Zindagi Umro Ki Pukaar
My Yahi Soch Kar Zinda Hoon K Mar Jana Hai.

Nasha Aisa Tha K Maikhane Ko Duniya Samjha
Hosh Aaya To Khayal Aaya K Ghar Jana Hai.

Mere Jazbe Ki Badi Khadar Hai Logon Me Magar
Mere Jazbe Ko Mere Sath Hi Mar Jana Hai.

Andhere Charo Taraf By Rahat Indori











Andhere Charo Taraf Saen Saen Karne Lage
Charag Hath Utha Kar Duaen Karne Lage

Taraqqi Kar Gaye Bimariyaun K Saudagar
Ye Sab Mareez Hain Jo Duain Karne Lage

Lahu Lahan Pada Tha Zamin Pe Ek Suraj
Parinde Apne Paron Se Hawain Karne Lage

Zamin Par Aagaye Ankho Se Toot Kar Ansu
Buri Khabar Hai Farishte Khatayein Karne Lage

Anjib Rang Tha Majlis Ka Khoob Mehfil Thi
Safed Posh Uthe Kaen Kaen Karne Lage

Monday 18 April 2016

Ander Ka Zaher Choom Liya By Rahat Indori
















Ander Ka Zaher Choom Liya Dhul K Aagaye
Jitne Sharif Log Thay Sab Khul K Aagaye.

Suraj Se Jung Jeetne Nikle Thay Bewakoof
Saare Sipahi Mom K Thay Sab Ghul K Aagaye.

Masjid Me Door Door Tak Koi Doosra Na Tha
Hum Aaj Apne Aap Se Mil Jhul K Aagaye.

Neendon Se Jung Hoti Rahegi Tamam Umar
Ankho Me Band Khawab Agar Khul K Aagaye.

Suraj Ne Apni Shakal Bhi Dekhi Thi Paheli Baar
Aine Ko Maze Bhi Taqabul K Aagaye.

Anjane Saye Phirne Lage Hain Idher Udher
Mausam Hamare Shaher Me Kabul K Aagaye.